Wednesday 6 August 2014

Akele

Zindagi hai choti si aaye the akele,
Jiye hum akele,
Jayenge bhi akele,
Bohot sare sapne laye the,
Par shayad is thode se waqt mein na kar paye kuch hum
Aur na kar payenge kabhi kuch hum
 

 Written By Kirti Bulland

Friday 8 June 2012

DIL WAFA ISHQ BEWAFA

Dil lagaya jis se, woh toh humein chodkar chal diye,
Dil Jalakar hamara, woh toh samne hi hamare kis aur ke sath chal diye,
Chod na hi tha humein toh pyar kyun kiya humse,
Hum ne toh wafa ki aur sath nibaya tumhara puri tarah se,
Bewafa toh tum nikle, hum toh wahi the aur wahi ruk kar reh gaye,
Aage jakar yeh kitni aasani se keh diya ki tum bhi chun lo kisiko apne liye,
Humne toh be imtihan pyar kiya tumse,
Pyar ko mazak samjhke chodkar tumne hamara hath aur aage is tarah chal diye,
Ishq mein bewafai ki tumne,
Hamara DIL todkar tum humein alvida keh kar chale gaye...


Written By Kirti Bulland

Tuesday 5 June 2012

AKELE AAYE HAI AUR AKELE HI JAYENGE

Zindagi kitni choti si hai yeh koi nahi janta,
Bas adhure se khali pan ko durr karna humein nahi aata,
Akele aaye hai aur akele hi jayenge,
Na dega koi sath humara aur wada karte hai na lenge sath hum aur kisika,
Royenge toh na sochenge kabhi kuch ki sath nahi koi hamare,
Na hai koi ki jiske kande par sarr rakh ke ro sake aur na hai woh sath ki humein chup kara sake,
Bas ab chup hi rahenge na kahenge kuch,
Sada ke liye khamosh rahenge aur sehte rahenge sab kuch,
Woh toh keh gaye humse ki baat nahi karni tumse,
Kya khata hui ki woh naaraaz hokar kuch nahi bole humse,
Hum toh apne aap se hi durr ho gaye itne,
Ki muskurana bhi bhul gaye,
Akele aaye hai aur akele hi jayenge,
Na Sath diya unhone chod diya humein akele,
Bas itna hi sath tha unka jo humein yun kuch pal khushiyan dekar kar diya akele,
Bohot mushkil se samjhaya tha khud ko aaye woh is tarah aur fir se kar gaye humko akele...
Written By Kirti

Rab se mili yeh itni khubsoorat si hamari zindagi hai

Rab se mili yeh itni khubsoorat si hamari zindagi hai,
Har pal jite isme na bhul jana humein yahi hai,
Ki aaye hum usi ke marzi se hain,
Na koi gam hain na koi shikayat hai kisise bhi humein,
Bas waqt ke haathon majboor hain,
Yeh jo zindagi mili hai humein,
Na kare hum koi galat kaam ki ho humein koi fir pachtawa aur afsoos,
Na bhule hum yeh ki jana ek din fir se hai humein rab ke paas lautkar wapis,
Hokar majboor na jiye hum is tarah,
Par muskurate rahe sade hum is tarah,
Razi khushi ho sab mein hum,
Aur jiye is tarah ki misaal bankar jaye hum,
Khush rehna hai aur muskurana hai humein,
Har haal mein bas yahi kehte sabhi humein,
Ki rab se mili yeh itni khubsoorat si hamari zindagi hai,
Har pal jite isme na bhul jana humein yahi hai...
Written By Kirti Bulland.......................

Kya kare

Jab kisi ki yaad aati aur koi paas nahi hota to lagta hai ki kya kare,
Tab lagta hai ki kiske saath baithkar baatein kare,
Yeh Yaadein bhi ajeeb hoti hai na chahte hue bhi aati hai kya kare,
Yun hi baithe rehte hai jab hota hai thoda sa samay hamare paas tab lagta hai ki kya kare,
Yaad aur baat yahi kehti hai hoga koi paas jald hi par mann kya kare,
Ab toh bas waqt ka pata hi nahi chalta par yeh dil hai jo kehta hai kya kare...


Written by Kirti Bulland...

Koi kisi ko sach kahe toh woh kaise usko samjhe

Koi kisi ko sach kahe toh woh kaise usko samjhe,
Kisine himmat ki hai sach kehne ki, par woh samjhna chahte nahi,
Koi kare toh kya kare,
Aaj himmat jhuti aur keh diya koi baat unse, par woh samjhte nahi toh hum kya kare,
Zindagi choti si hai par humne jo dekha hai, aur jo hum par beeti hai,
Woh hum hi jante hai woh kya samjhenge koi bhi baat hamari,
Kab tak chhupte rahenge woh humse, ek din toh unhe hamari kahi baat samjh mein aayegi,
Bas hum ab chup rahenge aur dekhna hai ki koi kya kitna waqt tak chup rehta hai humse,
Ek na ek din toh unki chupi tutegi hi, aur woh baat karenge hi humse,
Hum toh yeh mante hain ki zindagi choti si hai bas ab khushi se isse bitana hai,
Chahe jo bhi pal aaye haske muskurate hue waqt se sath chalna hai,
Koi yeh baat samjh jaye toh bohot hi acha hai ki woh sach ko samjh sake aur jo kehna hai humein usiko samjhe,
Koi kisi ko sach kahe toh woh kaise usko samjhe...

Written by Kirti Bulland...

Kaise koi jiye is pal mein aaj mein abhi mein

Kaise koi jiye is pal mein aaj mein abhi mein
Jitni bhi zindagi ji hai bas chot hi khayi hai aaj kal mein
Kya kahu kisi se ki kya beet rahi hai is waqt mujhpar
Kya karu kuch samjh mein nahi aata ki kahan jaun main is pal mein sab kuch chodkar
Na hi ja sakti hu kahi na hi keh sakti hu kisi ko bhi kuch
Waqt ne itna majboor kiya hai apne haathon ki jina hai toh yahi jina hai tu kar nahi sakti ab kuch
Kya bataun kisiko, kya samjhaun kisiko
Ab toh bas yahi hai ki chup chap sahan karo aur jaise bhi hai jiye jao
Zindagi ne sikhaya hai mujhe bohot kuch
Ab vishwaas aur bharosa jo karta hai mujhpar ussi se keh sakti hu sab kuch
Na jane kab aayega woh jo kahega ki main samjhunga aur koshish karunga ki na ho taklif tumhe
Bata do mujhe sab kuch woh karta hu tumpar vishwaas aur bharosa main jo bhi sab kuch kehna hai tumhe
Bas mujhe koi bata de ki kya vishwaas todna itna asaan hai ki tut ta hai woh ek pal mein
Kaise koi jiye is pal mein aaj mein abhi mein.........


Written By Kirti Bulland